amanat-dar
chalo ye bhī kareñ
ham raushnā.ī ko lahū kar ke
sahīfoñ meñ samo deñ
raah ke malboñ se lafzoñ ko uThā kar
jā-e-azmat deñ
lab-e-iz.hār kī quvvat se harf-e-nā-tavāñ ko
āshnā kar deñ
kisī zarre ko chamkā kar siyāhī kā
badan dho deñ
ḳharāsh-ālūda ummīdoñ ke chehroñ ko
jarāhat deñ
na.ī shāḳhoñ ko rang-e-sabz deñ
phūloñ ko rangīnī atā kar deñ
ki ham
taz.īn-kārī kā salīqa le ke aa.e haiñ
amiiñ haiñ kā.enāt-e-māvarā ke ham
chalo ye bhi karen
hum raushnai ko lahu kar ke
sahifon mein samo den
rah ke malbon se lafzon ko uTha kar
ja-e-azmat den
lab-e-izhaar ki quwwat se harf-e-na-tawan ko
aashna kar den
kisi zarre ko chamka kar siyahi ka
badan dho den
KHarash-aluda ummidon ke chehron ko
jarahat den
nai shaKHon ko rang-e-sabz den
phulon ko rangini ata kar den
ki hum
tazin-kari ka saliqa le ke aae hain
amin hain kaenat-e-mawara ke hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.