amanat
maiñ
sāl-hā-sāl se
ek chhoTī sī
poshīda aarzū kā amiin huuñ
merā ek muḳhtasar sā ḳhūbsūrat lakḌī kā makān
āñgan meñ
daana chugtī huī murġhiyāñ
kuchh pāltū jānvar
gaa.eñ bhaiñseñ bakriyāñ
aur
chāroñ-samt sabz rañg meñ lipTe hue khet hī khet
mīThe paanī se labrez
gahre kuñ.eñ
aur
unhīñ khetoñ ke darmiyān se ho kar
guzartī huī ek kahkashāñ jaisī pagDanDī
sar-nigūñ daraḳhtoñ ke
ādāb qubūl kartī huī
lekin
nahīñ kuchh bhī nahīñ
maiñ to abhī tak
is chhoTī sī poshīda aarzū kā amiin huuñ
main
sal-ha-sal se
ek chhoTi si
poshida aarzu ka amin hun
mera ek muKHtasar sa KHubsurat lakDi ka makan
aangan mein
dana chugti hui murghiyan
kuchh paltu jaanwar
gaen bhainsen bakriyan
aur
chaaron-samt sabz rang mein lipTe hue khet hi khet
miThe pani se labrez
gahre kunen
aur
unhin kheton ke darmiyan se ho kar
guzarti hui ek kahkashan jaisi pagDanDi
sar-nigun daraKHton ke
aadab qubul karti hui
lekin
nahin kuchh bhi nahin
main to abhi tak
is chhoTi si poshida aarzu ka amin hun
- Book : Shahre be Chiragh Mein (Pg. 62)
- Author : Saeed Arifi
- Publication : Pahchan Publications (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.