America ke kutte
ham ne dekhe haiñ vo U-S ke nirāle kutte
kāTne vaale nahīñ bhūñkne vaale kutte
merī mahbūba-e-maġhrib ne bhī paale kutte
maiñ sambhālā na gayā us ne sambhāle kutte
silsile pyaar ke haivān se joḌe us ne
maiñ to insān huuñ kutte bhī na chhoḌe us ne
god meñ le liyā madam ne parāyā kuttā
kabhī chūmī kabhī ā.ankhoñ se lagāyā kuttā
baiThnā thā jahāñ shauhar ko biThāyā kuttā
aayā husband to kahne lagīñ aayā kuttā
is mudārāt pe shauhar ko bhī hirs aatī hai
apne hāthoñ se vo buldog ko nahlātī hai
har taraf kūcha-e-dildār meñ zam kutte haiñ
zulm koī bhī ho arbāb-e-sitam kutte haiñ
ham pe kahte haiñ imārat kā bharam kutte haiñ
aur kutte ye samajhte haiñ ki ham kutte haiñ
haath meñ le ke tab-o-tāb jahāñ-bānoñ kī
rassiyāñ khīñchte rahte haiñ ye insānoñ kī
haa.e vo kuttā-shanāsoñ kī siyāsī chāleñ
jo faqat apnī baqā ke liye kutte pāleñ
saath kutte ke vo burgar kabhī pizza khā leñ
aur hameñ dekhte hī aiD kī haDDī Dāleñ
ham se kahte haiñ zarā aur hilāo dum ko
dum hilāne kā salīqa nahīñ aatā tum ko
ek kutte ne kahā maiñ jo hasīñ rahtā huuñ
kyuuñ samajhte ho mujhe ḳhāk-nashīñ rahtā huuñ
jahāñ A-C kī sahūlat ho vahīñ rahtā huuñ
maiñ koī tīsrī duniyā meñ nahīñ rahtā huuñ
mujh ko khāne meñ jo ḳhūrāk yahāñ miltī hai
vo tire mulk ke logoñ ko kahāñ miltī hai
haiñ mire shahr ke kutte jo purāne vaale
vo haiñ panjoñ se mujhe zaḳhm lagāne vaale
Taañg alfāz-o-ma.ānī meñ uḌāne vaale
merī taḳhlīq ko dāñtoñ se chabāne vaale
har ishā.at pe mirī chauñkte rah jaate haiñ
maiñ guzar jaatā huuñ ye bhūñkte rah jaate haiñ
hum ne dekhe hain wo U-S ke nirale kutte
kaTne wale nahin bhunkne wale kutte
meri mahbuba-e-maghrib ne bhi pale kutte
main sambhaala na gaya us ne sambhaale kutte
silsile pyar ke haiwan se joDe us ne
main to insan hun kutte bhi na chhoDe us ne
god mein le liya madam ne paraya kutta
kabhi chumi kabhi aaankhon se lagaya kutta
baiThna tha jahan shauhar ko biThaya kutta
aaya husband to kahne lagin aaya kutta
is mudaraat pe shauhar ko bhi hirs aati hai
apne hathon se wo buldog ko nahlati hai
har taraf kucha-e-dildar mein zam kutte hain
zulm koi bhi ho arbab-e-sitam kutte hain
hum pe kahte hain imarat ka bharam kutte hain
aur kutte ye samajhte hain ki hum kutte hain
hath mein le ke tab-o-tab jahan-banon ki
rassiyan khinchte rahte hain ye insanon ki
hae wo kutta-shanason ki siyasi chaalen
jo faqat apni baqa ke liye kutte palen
sath kutte ke wo burgar kabhi pizza kha len
aur hamein dekhte hi aiD ki haDDi Dalen
hum se kahte hain zara aur hilao dum ko
dum hilane ka saliqa nahin aata tum ko
ek kutte ne kaha main jo hasin rahta hun
kyun samajhte ho mujhe KHak-nashin rahta hun
jahan A-C ki sahulat ho wahin rahta hun
main koi tisri duniya mein nahin rahta hun
mujh ko khane mein jo KHurak yahan milti hai
wo tere mulk ke logon ko kahan milti hai
hain mere shahr ke kutte jo purane wale
wo hain panjon se mujhe zaKHm lagane wale
Tang alfaz-o-maani mein uDane wale
meri taKHliq ko danton se chabane wale
har ishaat pe meri chaunkte rah jate hain
main guzar jata hun ye bhunkte rah jate hain
- Book : excuse me (Pg. 47)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.