amir-e-shahr ki neki
purānī baat hai
lekin ye anhonī sī lagtī hai
amīr-e-shahr rātoñ ko
badal kar bhes
galiyoñ meñ phirā kartā
vo dīvāroñ pe likkhī
har na.ī tahrīr ko paḌhtā
sarā.e meñ har ik nau-vārid-e-shab se
safar kā mājrā suntā
gharoñ kī chimniyoñ ko dekh kar
andāza-e-nān-e-javīñ kartā
pareshāñ-hāliyoñ se bā-ḳhabar rahtā
mazāroñ maqbaroñ kī chaukhaToñ ko chūmtā
aur shab ga.e masjid meñ aatā
sub.h tak
yād-e-ilāhī meñ basar kartā
huā ik raat yuuñ
chāroñ taraf dariyā umaD aayā
koī jaagā nahīñ
tanhā
amīr-e-shahr ke baazū
fasīl-e-shahr kī buniyād ko thāme rahe shab bhar
badan kī Dhaal se
sailāb ko roke rahe shab bhar
sunā hai phir kabhī
dariyā kī tuġhyānī
fasīl-e-shahr ko Dhāne nahīñ aa.ī
amīr-e-shahr kī nekī
zamāne tak
ḳhatā-kāroñ ke kaam aa.ī
purani baat hai
lekin ye anhoni si lagti hai
amir-e-shahr raaton ko
badal kar bhes
galiyon mein phira karta
wo diwaron pe likkhi
har nai tahrir ko paDhta
sarae mein har ek nau-warid-e-shab se
safar ka majra sunta
gharon ki chimniyon ko dekh kar
andaza-e-nan-e-jawin karta
pareshan-haaliyon se ba-KHabar rahta
mazaron maqbaron ki chaukhaTon ko chumta
aur shab gae masjid mein aata
subh tak
yaad-e-ilahi mein basar karta
hua ek raat yun
chaaron taraf dariya umaD aaya
koi jaga nahin
tanha
amir-e-shahr ke bazu
fasil-e-shahr ki buniyaad ko thame rahe shab bhar
badan ki Dhaal se
sailab ko roke rahe shab bhar
suna hai phir kabhi
dariya ki tughyani
fasil-e-shahr ko Dhane nahin aai
amir-e-shahr ki neki
zamane tak
KHata-karon ke kaam aai
- Book : purani baat hai (Pg. 30)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.