amman mujhko basta de de
ammāñ mujh ko basta de de
duniyā mujh ko rasta de de
jaanā hai schōl mujhe to jaanā hai schōl
jaan sakūñ ki achchhā kyā hai
kharā hai kyuuñ kar khoTā kyā hai
haq aur farz meñ farq hai kitnā
sach aur jhuuT kā jhagḌā kyā hai
ammāñ mujh ko basta de de
duniyā mujh ko rasta de de
jaanā hai schōl mujhe to jaanā hai schōl
aag havā paanī aur miTTī
taare kyuuñ haiñ kyā ye zamīñ hai
ham haiñ kyuuñ ye duniyā kyā hai
harf hī sab rāzoñ kā amiiñ hai
ammāñ mujh ko basta de de
duniyā mujh ko rasta de de
jaanā hai schōl mujhe to jaanā hai schōl
amman mujh ko basta de de
duniya mujh ko rasta de de
jaana hai school mujhe to jaana hai school
jaan sakun ki achchha kya hai
khara hai kyun kar khoTa kya hai
haq aur farz mein farq hai kitna
sach aur jhuT ka jhagDa kya hai
amman mujh ko basta de de
duniya mujh ko rasta de de
jaana hai school mujhe to jaana hai school
aag hawa pani aur miTTi
tare kyun hain kya ye zamin hai
hum hain kyun ye duniya kya hai
harf hi sab raazon ka amin hai
amman mujh ko basta de de
duniya mujh ko rasta de de
jaana hai school mujhe to jaana hai school
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.