ammi jaan
baḌe hī shauq se mujh ko paḌhātī haiñ likhātī haiñ
baḌe hī pyaar se jo pūchhtā huuñ vo batātī haiñ
na jhunjhlātī haiñ vo mujh par na ġhussa hī dikhātī haiñ
jo mujh ko DāñTtī bhī haiñ to fauran muskurātī haiñ
ḳhudā rakkhe ki mujh par mehrbāñ haiñ kis qadar ammī
burī dekhī jo koī baat mujh meñ pyaar se Tokā
kabhī khelā jo koī khel ganda mujh ko samjhāyā
kabhī chuġhlī kisī kī maiñ ne khaa.ī to burā maanā
durust us ko karāyā lafz agar koī ġhalat bolā
ġharaz kartī haiñ merī tarbiyat āThoñ pahar ammī
sahāba ke buzurgoñ ke mujhe qisse sunātī haiñ
hadīseñ bhī sunātī un kā matlab bhī batātī haiñ
salīqe se safā.ī se mujhe rahnā sikhātī haiñ
mire ārām kī ḳhātir vo taklīfeñ uThātī haiñ
nahīñ koī bhī itnā mehrbāñ haiñ jis qadar ammī
baḌā hai un kā rutba aur ūñchā hai maqām un kā
hamesha dil se kartā huuñ adab aur ehtirām un kā
na maiñ un se jhagaḌtā huuñ na maiñ letā huuñ naam un kā
ḳhushī ke saath kar detā huuñ maiñ har ek kaam un kā
jabhī to mujh ko kahtī haiñ mirā nūr-e-nazar ammī
baDe hi shauq se mujh ko paDhati hain likhati hain
baDe hi pyar se jo puchhta hun wo batati hain
na jhunjhlati hain wo mujh par na ghussa hi dikhati hain
jo mujh ko DanTti bhi hain to fauran muskuraati hain
KHuda rakkhe ki mujh par mehrban hain kis qadar ammi
buri dekhi jo koi baat mujh mein pyar se Toka
kabhi khela jo koi khel ganda mujh ko samjhaya
kabhi chughli kisi ki main ne khai to bura mana
durust us ko karaya lafz agar koi ghalat bola
gharaz karti hain meri tarbiyat aaThon pahar ammi
sahaba ke buzurgon ke mujhe qisse sunati hain
hadisen bhi sunati un ka matlab bhi batati hain
saliqe se safai se mujhe rahna sikhati hain
mere aaram ki KHatir wo taklifen uThati hain
nahin koi bhi itna mehrban hain jis qadar ammi
baDa hai un ka rutba aur uncha hai maqam un ka
hamesha dil se karta hun adab aur ehtiram un ka
na main un se jhagaDta hun na main leta hun nam un ka
KHushi ke sath kar deta hun main har ek kaam un ka
jabhi to mujh ko kahti hain mera nur-e-nazar ammi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.