ammi ki yaad mein
ammī kī ye jā-e-namāz mujhe de do
mujhe pata hai
is meñ kitnī raushan sub.heñ jazb huī haiñ
kitnī sannāTī do-pahreñ
is kī sīvan meñ zinda haiñ
maġhrib ke jhaT-paT anvār kī shāhid hai ye
āḳhir shab kā girya
us ke tāne-bāne kā hissa hai
mujhe pata hai
ammī ke pākīza sajdoñ kī sargoshī
us ke kānoñ meñ zinda hai
us ke sachche sachche sajde
dekho kaise chamak rahe haiñ
un ke lams kī ḳhushbū
kaisī phuuT rahī hai
ammī kī ye jā-e-namāz baḌī daulat hai
ammī kī ye jā-e-namāz mujhe de do
ammi ki ye ja-e-namaz mujhe de do
mujhe pata hai
is mein kitni raushan subhen jazb hui hain
kitni sannaTi do-pahren
is ki siwan mein zinda hain
maghrib ke jhaT-paT anwar ki shahid hai ye
aaKHir shab ka girya
us ke tane-bane ka hissa hai
mujhe pata hai
ammi ke pakiza sajdon ki sargoshi
us ke kanon mein zinda hai
us ke sachche sachche sajde
dekho kaise chamak rahe hain
un ke lams ki KHushbu
kaisi phuT rahi hai
ammi ki ye ja-e-namaz baDi daulat hai
ammi ki ye ja-e-namaz mujhe de do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.