tum tashaddud ke ravādār nahīñ ho lekin
amn kī dil se himāyat bhī kahāñ kī tum ne
sāl-hā-sāl raqābat ke ye vahshī jazbe
kitne gulshan kī zamīñ kar ga.e pāmāl magar
ḳhūn-e-insāñ bhī huā aag ke sho.ale bhī uThe
dūriyāñ aur baḌhīñ aur baḌhīñ aur baḌhīñ
mas.ala sab kā baqā kā ho jahāñ pesh-e-nazar
us ke hal karne kā andāz badalnā hogā
pahle ham apne ta.iiñ ḳhud hī vafādār baneñ
aur ġhairoñ ko bhī deñ dars vafādārī kā
sarhadoñ pe na koī aag ke sho.ale ugle
tab kahīñ jā ke ye māhaul badal saktā hai
amn aur chain kā sūraj bhī nikal saktā hai
amn aur chain kā sūraj bhī nikal saktā hai
tum tashaddud ke rawadar nahin ho lekin
amn ki dil se himayat bhi kahan ki tum ne
sal-ha-sal raqabat ke ye wahshi jazbe
kitne gulshan ki zamin kar gae pamal magar
KHun-e-insan bhi hua aag ke shoale bhi uThe
duriyan aur baDhin aur baDhin aur baDhin
masala sab ka baqa ka ho jahan pesh-e-nazar
us ke hal karne ka andaz badalna hoga
pahle hum apne tain KHud hi wafadar banen
aur ghairon ko bhi den dars wafadari ka
sarhadon pe na koi aag ke shoale ugle
tab kahin ja ke ye mahaul badal sakta hai
amn aur chain ka suraj bhi nikal sakta hai
amn aur chain ka suraj bhi nikal sakta hai
- Book : Shahar Ki Faseelon Se (Pg. 96)
- Author : Noor Muneeri
- Publication : Khan Publications (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.