amrita-piritam
shiddat-e-dard-o-alam se jab bhī ghabrātā huuñ maiñ
tere naġhmoñ kī ghanī chhāñv meñ aa jaatā huuñ maiñ
zindagī kā aa.ina ye hai tire fan kā kamāl
hai udhar hadd-e-falak tak terī parvāz-e-ḳhayāl
chal gayā saare diloñ par terā sehr-e-sāmrī
jāvedāñ ai amritā-pirītam hai terī shā.irī
shiddat-e-ehsās ho to ḳhud sañvar jaatā hai fan
raushnī hotī hai kul duniyā meñ jab jaltā hai man
sar-phire kuchh ahl-e-fan maare hue taqdīr ke
yūñhī be-samjhī meñ haiñ dushman tirī tahrīr ke
dushmanoñ ke vaar se Dartī na ghabrātī hai tū
log patthar pheñkte haiñ phuul barsātī hai tū
tere fan ke mo'tarif hoñge vo vaqt aane ko hai
phuul tere fan kā har gulshan ko mahkāne ko hai
shiddat-e-dard-o-alam se jab bhi ghabraata hun main
tere naghmon ki ghani chhanw mein aa jata hun main
zindagi ka aaina ye hai tere fan ka kamal
hai udhar hadd-e-falak tak teri parwaz-e-KHayal
chal gaya sare dilon par tera sehr-e-samri
jawedan ai amrita-piritam hai teri shairi
shiddat-e-ehsas ho to KHud sanwar jata hai fan
raushni hoti hai kul duniya mein jab jalta hai man
sar-phire kuchh ahl-e-fan mare hue taqdir ke
yunhi be-samjhi mein hain dushman teri tahrir ke
dushmanon ke war se Darti na ghabraati hai tu
log patthar phenkte hain phul barsati hai tu
tere fan ke mo'tarif honge wo waqt aane ko hai
phul tere fan ka har gulshan ko mahkane ko hai
- Book : SAAZ-O-NAVA (Pg. 75)
- Publication : Raghu Nath suhai ummid
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.