amrud aur mulla ji
Interesting Fact
One night at the residence of Abu-al-Asar 'Hafeez' Jalandhari, his daughters were listening to anecdotes and stories from Nazir Niyazi Sahib (former editor of Tulu-e-Islam). When they heard the following story they could not contain their laughter and broke into an uncontrollable guffaw
kisī qasbe meñ ek thā amrūd
bīsoñ meñ vo nek thā amrūd
paḌhne jaatā thā vo namāz vahāñ
aadmī ik nazar na aa.e jahāñ
ḳhauf us ko hamesha rahtā thā
aadmī koī mujh ko khā legā
shauq bolā ki ek din jaao
kisī masjid meñ jā namāz paḌho
chhoTī sī masjid ik qarīb hī thī
the vahāñ DaT ke baiThe mullā jī
chupke chupke ḳhudā kī le kar aas
chal ke jā baiThā jūtiyoñ ke paas
jūñhī sajde meñ us ne rakhā sar
aa.e mullā jī us taraf uTh kar
aise mullā nadīde hote haiñ
dekh ke khāne hosh khote haiñ
halva khāte haiñ naan khāte haiñ
jab mile kuchh na jaan khāte haiñ
jhapTe us par pakaḌ liyā amrūd
chīḳhā chillāyā ro paḌā amrūd
kahā amrūd ne ki mullā jī
ho agar aaj merī jāñ-baḳhshī
phal khilā.uñgā aap ko aisā
achchhā mujh se hai zā.iqa jis kā
phir kahā ye ki mere saath aa.eñ
jis jagah maiñ kahūñ Thahar jaa.eñ
ik dukāñ ke qarīb aa ke kahā
ā.īye dekhiye hai kaisā mazā
kelā jaldī se ik uThā liije
aur masjid meñ chal ke khā lījiye
mālik us kā vahāñ na thā maujūd
mullā maujūd thā ḳhudā maujūd
kelā masjid ke paas le ke chale
chalte chalte vo āḳhir aa pahuñche
kahā amrūd ne nikāliye aap
chhīl kar kelā us ko khā.iye aap
lage masjid meñ jaane jab khā kar
aa gayā un kā paañv chhilke par
vaa.e qismat ki aap aise gire
ek ghanTe se pahle uTh na sake
mauqa paate hī chal diyā amrūd
de ke mullā ko jul gayā amrūd
hirs kā ḳhuub hī mazā paayā
duudh un ko chhaTī kā yaad aayā
kisi qasbe mein ek tha amrud
bison mein wo nek tha amrud
paDhne jata tha wo namaz wahan
aadmi ek nazar na aae jahan
KHauf us ko hamesha rahta tha
aadmi koi mujh ko kha lega
shauq bola ki ek din jao
kisi masjid mein ja namaz paDho
chhoTi si masjid ek qarib hi thi
the wahan DaT ke baiThe mulla ji
chupke chupke KHuda ki le kar aas
chal ke ja baiTha jutiyon ke pas
junhi sajde mein us ne rakha sar
aae mulla ji us taraf uTh kar
aise mulla nadide hote hain
dekh ke khane hosh khote hain
halwa khate hain nan khate hain
jab mile kuchh na jaan khate hain
jhapTe us par pakaD liya amrud
chiKHa chillaya ro paDa amrud
kaha amrud ne ki mulla ji
ho agar aaj meri jaan-baKHshi
phal khilaunga aap ko aisa
achchha mujh se hai zaiqa jis ka
phir kaha ye ki mere sath aaen
jis jagah main kahun Thahar jaen
ek dukan ke qarib aa ke kaha
aaiye dekhiye hai kaisa maza
kela jaldi se ek uTha lije
aur masjid mein chal ke kha lijiye
malik us ka wahan na tha maujud
mulla maujud tha KHuda maujud
kela masjid ke pas le ke chale
chalte chalte wo aaKHir aa pahunche
kaha amrud ne nikaliye aap
chhil kar kela us ko khaiye aap
lage masjid mein jaane jab kha kar
aa gaya un ka panw chhilke par
wae qismat ki aap aise gire
ek ghanTe se pahle uTh na sake
mauqa pate hi chal diya amrud
de ke mulla ko jul gaya amrud
hirs ka KHub hi maza paya
dudh un ko chhaTi ka yaad aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.