an-chahi maut
fāsla jab tumhāre mire darmiyāñ kā
zarā baḌh gayā to
tumhārī judā.ī ke ehsās kī
garm būñdeñ
mirī muntazir chashm-e-be-ḳhvāb se
raat bhar qatra qatra Tapaktī rahīñ
sub.h tak karvaTeñ
mere bistar pe jaltī rahīñ
aag sī ḳhuun ke saath
mere badan meñ dahaktī rahī
yaad kī sham.a
kamre meñ shab-bhar
sulagtī rahī
aur tumhārā nasha
merī nas nas meñ
til til utartā rahā
merā saarā vajūd
ek an-chāhī maut
ek ik lamha martā rahā
fasla jab tumhaare mere darmiyan ka
zara baDh gaya to
tumhaari judai ke ehsas ki
garm bunden
meri muntazir chashm-e-be-KHwab se
raat bhar qatra qatra Tapakti rahin
subh tak karwaTen
mere bistar pe jalti rahin
aag si KHun ke sath
mere badan mein dahakti rahi
yaad ki shama
kamre mein shab-bhar
sulagti rahi
aur tumhaara nasha
meri nas nas mein
til til utarta raha
mera sara wajud
ek an-chahi maut
ek ek lamha marta raha
- Book : Qarz-e-jan (Pg. 81)
- Author : Rashid Azar
- Publication : Rashid Azar (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.