an-kahi
sāñvlī! to mire pahlū meñ hai
lekin tirī pyāsī āñkheñ
kabhī dīvār ko taktī haiñ
kabhī jānib-e-dar dekhtī haiñ
mujh se is tarah gurezāñ jaise
unheñ mujh se nahīñ dīvār se kuchh kahnā hai
yā ye panchhī haiñ jinheñ
ek hī parvāz meñ uḌ jaanā hai
haath nahīñ aanā hai
(ai mirī sāñvlī! in āñkhoñ ke donoñ panchhī
gar uḌe bhī to mire dil kī taraf ā.eñge)
sāñvlī! mujh ko tirī āñkhoñ ne
vo fasāne bhī sunā.e ki jinheñ
kahnā chāheñ to tire hoñT faqat ''jī'' kah kar
aur afsānoñ ko dohrāne lagīñ
yā tū begānoñ kī mānind mire paas se guzre
to kabhī
merī taraf dekh ke chalnā bhī gavārā na kare
lekin āñkhoñ meñ chamak aa jaa.e
maslahat hoñT to sī le magar in āñkhoñ ko
kaise ḳhāmosh rakhe kaise unheñ samjhā.e
baat kartī hai to āñkheñ nahīñ milne detī
sāñvlī Dartī hai dil nain jharokoñ meñ na aa.e
sanwli! to mere pahlu mein hai
lekin teri pyasi aankhen
kabhi diwar ko takti hain
kabhi jaanib-e-dar dekhti hain
mujh se is tarah gurezan jaise
unhen mujh se nahin diwar se kuchh kahna hai
ya ye panchhi hain jinhen
ek hi parwaz mein uD jaana hai
hath nahin aana hai
(ai meri sanwli! in aankhon ke donon panchhi
gar uDe bhi to mere dil ki taraf aaenge)
sanwli! mujh ko teri aankhon ne
wo fasane bhi sunae ki jinhen
kahna chahen to tere honT faqat ji kah kar
aur afsanon ko dohrane lagin
ya tu beganon ki manind mere pas se guzre
to kabhi
meri taraf dekh ke chalna bhi gawara na kare
lekin aankhon mein chamak aa jae
maslahat honT to si le magar in aankhon ko
kaise KHamosh rakhe kaise unhen samjhae
baat karti hai to aankhen nahin milne deti
sanwli Darti hai dil nain jharokon mein na aae
- Book : Deewar pe dastak (Pg. 617)
- Author : shahzaad ahmad
- Publication : Sange meel publications, Lahor (1991)
- Edition : 1991
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.