an-paDh gunge ka rajaz
ḳhāmoshī merā lashkar hai
lafzoñ kī daldal
aur us meñ palne vaalī joñkeñ
ye muta.affin āvāzeñ
merī yalġhār ke aage sābit-qadam raheñgī?
kyā tum vāqa.ī aisā samajhte ho
ki tumhāre maidān itne farāḳh haiñ
ki mere asp-e-asīl ko thakā deñge
tumhāre samundar itne mavvāj haiñ
ki merā rizq ulaT deñge
aur tumhāre pahāḌ itne sañglāḳh haiñ
ki merā jhanDā na thāmeñge
dushman ahmaq ho to merā ġhussa baḌhā detā hai
saqāhat merī muayyana maqtūl hai
aur ḳhush-fahmī muqarrara mazbūh
merī chiñghāḌ sūr-e-isrāfīl kā pesh-āhañg hai
lafz kī minmināhaT se paak
andhe sayyāroñ ke Takrāo kī māfauq-e-samā.at gaḌgaḌāhaT
āvāz kī mukammal minhā.ī kā shor
likhe hue lafz ko bhī shaq kar detā hai
ye ibārateñ tumhārā saf-basta lashkar haiñ
farzī hathiyāroñ se musallah ye lashkar
jise ḳhayālī qiloñ ke brij girāne kā baḌā tajraba hai
is kī nā-būdī merī ek chup ke fāsle par hai
yaad! rakhnā
mere paas koī rassī nahīñ hotī
jo tumhāre gale meñ Dālne aur
tumhāre haath bāñdhne ke kaam aa.e
merā fitrāk hamesha ḳhālī rahtā hai
aur mere qaid-ḳhāne kabhī ābād nahīñ rahe
maiñ jañg se pahle hī dushman shumār kar letā huuñ
phir maqtūlīn kī gintī nahīñ kartā
sab jānte haiñ
mujh par neza pheñkne vāloñ kī paspā.ī nā-tamām rahtī hai
merī haibat se zamīn maqnātīs bantī hai
aur havā kohrbā.ī kartī hai
merā shikār bijliyāñ hāñktī haiñ
maut merā tarkash uThā kar chaltī hai
aur merā rath āñdhiyāñ khīñchtī haiñ
lafzoñ ke maktūb jañgal itne ghane nahīñ haiñ
ki tumheñ aag kī bārish se tar-ba-tar na hone deñ
sarf-o-nahv kā sā.ebān itnā baḌā nahīñ hai
ki sitāra-e-ajal tum se ojhal rah jaa.e
kitāboñ se itnī ūñchī dīvār nahīñ bantī
ki qitāl sannāTā phalāñg na sake
kyā hasīn duniyā thī
jise tum ne lafzoñ se dāġhdār kar diyā
us ke tābinda āfāq
in pinjroñ meñ ghaT kar sāqitushshams ho ga.e haiñ
kaisī zinda zamīn thī
jis meñ tum ne zahr bo diyā
kaisā raushan āsmān thā
jise tum tārīkī ke mafhūm meñ sarf kar chuke ho
tum ne shu.ūr ko jhūTā
aur fitrat ko gadlā kar diyā hai
mahz zabān ke chaTḳhāre ke liye
tum ne vajūd kā asās-ul-bait
farhañgoñ ke mol bech khāyā
maiñ kā.enāt kī bāzyābī ke liye niklā huuñ
merā ḳhanjar lafz kā peT chaak karegā
ma.anī kī zambīl phaaḌ Dālegā
aur kazzāb ishāroñ ke haath qalam kar degā
jinhoñ ne sayyāroñ ko gumrāh kar rakhā hai
be-zabānoñ ko muzhda ho
haqīqat kā aslī tanāzur bahāl hone ko hai
tumhāre dushman fasīloñ ke tasavvur meñ mahsūr haiñ
siyāh ā.īne kī ye maḳhlūq
jis kī manhūs parchhā.īñ ne
har taraf shor machā rakkhā hai
ḳhud hī apnā madfan hai
merī āḳhirī yalġhār se ho jā.eñge saare manāzir
saarī āvāzeñ
āzād
nā-malfūz....
KHamoshi mera lashkar hai
lafzon ki daldal
aur us mein palne wali jonken
ye mutaffin aawazen
meri yalghaar ke aage sabit-qadam rahengi?
kya tum waqai aisa samajhte ho
ki tumhaare maidan itne faraKH hain
ki mere asp-e-asil ko thaka denge
tumhaare samundar itne mawwaj hain
ki mera rizq ulaT denge
aur tumhaare pahaD itne sanglaKH hain
ki mera jhanDa na thamenge
dushman ahmaq ho to mera ghussa baDha deta hai
saqahat meri muayyana maqtul hai
aur KHush-fahmi muqarrara mazbuh
meri chinghaD sur-e-israfil ka pesh-ahang hai
lafz ki minminahaT se pak
andhe sayyaron ke Takrao ki mafauq-e-samaat gaDgaDahaT
aawaz ki mukammal minhai ka shor
likhe hue lafz ko bhi shaq kar deta hai
ye ibaraten tumhaara saf-basta lashkar hain
farzi hathiyaron se musallah ye lashkar
jise KHayali qilon ke brij girane ka baDa tajraba hai
is ki na-budi meri ek chup ke fasle par hai
yaad! rakhna
mere pas koi rassi nahin hoti
jo tumhaare gale mein Dalne aur
tumhaare hath bandhne ke kaam aae
mera fitrak hamesha KHali rahta hai
aur mere qaid-KHane kabhi aabaad nahin rahe
main jang se pahle hi dushman shumar kar leta hun
phir maqtulin ki ginti nahin karta
sab jaante hain
mujh par neza phenkne walon ki paspai na-tamam rahti hai
meri haibat se zamin maqnatis banti hai
aur hawa kohrbai karti hai
mera shikar bijliyan hankti hain
maut mera tarkash uTha kar chalti hai
aur mera rath aandhiyan khinchti hain
lafzon ke maktub jangal itne ghane nahin hain
ki tumhein aag ki barish se tar-ba-tar na hone den
sarf-o-nahw ka saeban itna baDa nahin hai
ki sitara-e-ajal tum se ojhal rah jae
kitabon se itni unchi diwar nahin banti
ki qital sannaTa phalang na sake
kya hasin duniya thi
jise tum ne lafzon se daghdar kar diya
us ke tabinda aafaq
in pinjron mein ghaT kar saqitushshams ho gae hain
kaisi zinda zamin thi
jis mein tum ne zahr bo diya
kaisa raushan aasman tha
jise tum tariki ke mafhum mein sarf kar chuke ho
tum ne shuur ko jhuTa
aur fitrat ko gadla kar diya hai
mahz zaban ke chaTKHare ke liye
tum ne wajud ka asas-ul-bait
farhangon ke mol bech khaya
main kaenat ki bazyabi ke liye nikla hun
mera KHanjar lafz ka peT chaak karega
mani ki zambil phaD Dalega
aur kazzab ishaaron ke hath qalam kar dega
jinhon ne sayyaron ko gumrah kar rakha hai
be-zabanon ko muzhda ho
haqiqat ka asli tanazur bahaal hone ko hai
tumhaare dushman fasilon ke tasawwur mein mahsur hain
siyah aaine ki ye maKHluq
jis ki manhus parchhain ne
har taraf shor macha rakkha hai
KHud hi apna madfan hai
meri aaKHiri yalghaar se ho jaenge sare manazir
sari aawazen
aazad
na-malfuz
- Book : andhi ka rajz (Pg. 79)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.