ana aur andesha
tire Duub jaane se kyā farq paḌtā hai maġhrūr sūraj
tire ba.ad maiñ huuñ
ujāle kī manzil
charāġh-e-ġham-e-dil
jo har dair-o-ka.aba meñ har raat jaltā hai, tanhā akelā
jo tū Duub jā.egā maġhrūr sūraj
to maiñ jal uThūñgā tire ba.ad lekin
agar bujh gayā maiñ
mujhe chhū gayā koī jhoñkā havā kā
to tārīk ho jā.egā ghar ḳhudā kā
tere Dub jaane se kya farq paDta hai maghrur suraj
tere baad main hun
ujale ki manzil
charagh-e-gham-e-dil
jo har dair-o-kaba mein har raat jalta hai, tanha akela
jo tu Dub jaega maghrur suraj
to main jal uThunga tere baad lekin
agar bujh gaya main
mujhe chhu gaya koi jhonka hawa ka
to tarik ho jaega ghar KHuda ka
- Book : Khushbu Ka Khwab (Pg. 120)
- Author : Prem Warbartani
- Publication : Miss V. D. Kakkad (1976)
- Edition : 1976
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.