anar
maiñ sūrat meñ achchhā nahīñ huuñ magar
mujhe dekh lo tum zarā toḌ kar
maiñ andar se ā.uñgā tum ko pasand
mire peT meñ surḳh motī haiñ band
vo motī agar kuchh dinoñ khāoge
to tum ḳhud ko tandurust bhī pāoge
jo dāñtoñ meñ apne dabāoge tum
to mīThā araq muñh meñ pāoge tum
mirā naam hai pyāre bachcho anaar
karo shukr rab kā adā baar baar
ki ne.amat banā kar usī ne mujhe
zamīñ par ugāyā tumhāre liye
main surat mein achchha nahin hun magar
mujhe dekh lo tum zara toD kar
main andar se aaunga tum ko pasand
mere peT mein surKH moti hain band
wo moti agar kuchh dinon khaoge
to tum KHud ko tandurust bhi paoge
jo danton mein apne dabaoge tum
to miTha araq munh mein paoge tum
mera nam hai pyare bachcho anar
karo shukr rab ka ada bar bar
ki neamat bana kar usi ne mujhe
zamin par ugaya tumhaare liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.