andar ka chamkila hira
kitne dinoñ tak
raajā ke darbār meñ ik sādhū aatā thā
jo us ko roz ik phal de jaatā thā
raajā be-his be-parvā sā
is phal ko maḳhzan ke ik kone meñ pheñk diyā kartā thā
ik din jab vo sādhū aayā
raajā ke bandar ne us se vo phal chhīnā
aur jo khāyā to us meñ se
ek chamaktā hiirā niklā
raajā hairāñ sādhū ġhā.eb
raajā phir maḳhzan ke us kone meñ pahuñchā
aur vahāñ dekhā hīroñ kā Dher lagā thā
aur phal ke chhilke bikhre the
kaun thā vo sādhū aur aaj kahāñ ġhā.eb hai
vo phal kyā hai jo har roz mile ham ko lekin ham us kā
antar dekh na paa.eñ us kī qadr na jāneñ
zāhir ke sādhāran ruup meñ andar kā chamkīlā hiirā
jis ne bhī pahchānā apne aap ko jaanā
bāhar se māmūlī lagne vaale phal ko pheñk diyā to
us ke andar kā hiirā ojhal hī rahegā
kitne dinon tak
raja ke darbar mein ek sadhu aata tha
jo us ko roz ek phal de jata tha
raja be-his be-parwa sa
is phal ko maKHzan ke ek kone mein phenk diya karta tha
ek din jab wo sadhu aaya
raja ke bandar ne us se wo phal chhina
aur jo khaya to us mein se
ek chamakta hira nikla
raja hairan sadhu ghaeb
raja phir maKHzan ke us kone mein pahuncha
aur wahan dekha hiron ka Dher laga tha
aur phal ke chhilke bikhre the
kaun tha wo sadhu aur aaj kahan ghaeb hai
wo phal kya hai jo har roz mile hum ko lekin hum us ka
antar dekh na paen us ki qadr na jaanen
zahir ke sadhaaran rup mein andar ka chamkila hira
jis ne bhi pahchana apne aap ko jaana
bahar se mamuli lagne wale phal ko phenk diya to
us ke andar ka hira ojhal hi rahega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.