anDe ka halwa
murġhī jab degī anDā
apnā dil hogā ThanDā
chal kar baiTheñ Darbe paas
shāyad ab puurī ho aas
murġhī kuḌ kuḌ kartī hai
anDe kā dam bhartī hai
ammī ne kal bolā thā
murġhī jab degī anDā
aslī ghī mañgvā.eñge
halva ḳhuub banā.eñge
aa hā anDoñ kā halva
meva jis meñ ho Daalā
murġhī jaldī anDe de
khāne ko haiñ ham baiThe
halva aslī ghī vaalā
anDā ho jis meñ Daalā
murghi jab degi anDa
apna dil hoga ThanDa
chal kar baiThen Darbe pas
shayad ab puri ho aas
murghi kuD kuD karti hai
anDe ka dam bharti hai
ammi ne kal bola tha
murghi jab degi anDa
asli ghi mangwaenge
halwa KHub banaenge
aa ha anDon ka halwa
mewa jis mein ho Dala
murghi jaldi anDe de
khane ko hain hum baiThe
halwa asli ghi wala
anDa ho jis mein Dala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.