andesha
be-karāñ raat kā hai sannāTā
saḌkeñ vīrān
bām-o-dar ḳhāmosh
āsmāñ par nahīñ koī taara
har taraf phailā hū kā aalam hai
aable paḌ ga.e haiñ talvoñ meñ
sāmne ret kā samundar hai
kis tarah tai karūñ maiñ ye duurī
raah tak tak ke
ik hasīn gulāb
rang-o-bū hī kahīñ na kho baiThe
be-karan raat ka hai sannaTa
saDken viran
baam-o-dar KHamosh
aasman par nahin koi tara
har taraf phaila hu ka aalam hai
aable paD gae hain talwon mein
samne ret ka samundar hai
kis tarah tai karun main ye duri
rah tak tak ke
ek hasin gulab
rang-o-bu hi kahin na kho baiThe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.