andesha-e-jaan
kis liye kahāñ se kyā huā ki maiñ yahāñ aa pahuñchā
ab mujhe kaise le jaayā jā.egā
vahāñ jahāñ mohabbat thī
anurāg thā
aur us kā raaj thā
āvāz ke ḳhudā
ab tū hī batā ki afsos kis par kiyā jaa.e
aur kis ko duhā.ī dī jaa.e
kis ne mujhe is tarah maar diyā
ki na to maiñ apnī nazar meñ rahā
na duniyā merī nazar meñ
uThāo use vahāñ se
jahāñ uThne se pahle thā hī nahīñ
kyā jānūñ maiñ ki tū hī vasundrā hai
bachā lo mere ḳhudā
ki maiñ uḌne se pahle hī uḌ rahā huuñ
us taraf jahāñ
dhartī hai na ākāsh hai
sivā.e dukh ke aur is kī talchhaT ke
ab maiñ kis se pūchhūñ ki mujhe kis ne maarā
shā.irī kā din to kabhī huā nahīñ
magar ye raat kyuuñ ho rahī hai
raat ko bachā lo varna din use maar degā
nā-dīda chāñdnī se kaho ki vo apnā chāñd DhūñDh kar laa.e
varna maiñ use ḳhudā ke supurd kar dūñgā
aur kahūñgā ki ā.inda niiñd kabhī paidā na kiyā jaa.e
ghar ghar
damak rahī hai chāñdnī
kyūñki us kā ḳhudā use damkāne ke liye aa gayā hai
kis liye kahan se kya hua ki main yahan aa pahuncha
ab mujhe kaise le jaya jaega
wahan jahan mohabbat thi
anurag tha
aur us ka raj tha
aawaz ke KHuda
ab tu hi bata ki afsos kis par kiya jae
aur kis ko duhai di jae
kis ne mujhe is tarah mar diya
ki na to main apni nazar mein raha
na duniya meri nazar mein
uThao use wahan se
jahan uThne se pahle tha hi nahin
kya jaanun main ki tu hi wasundra hai
bacha lo mere KHuda
ki main uDne se pahle hi uD raha hun
us taraf jahan
dharti hai na aakash hai
siwae dukh ke aur is ki talchhaT ke
ab main kis se puchhun ki mujhe kis ne mara
shairi ka din to kabhi hua nahin
magar ye raat kyun ho rahi hai
raat ko bacha lo warna din use mar dega
na-dida chandni se kaho ki wo apna chand DhunDh kar lae
warna main use KHuda ke supurd kar dunga
aur kahunga ki aainda nind kabhi paida na kiya jae
ghar ghar
damak rahi hai chandni
kyunki us ka KHuda use damkane ke liye aa gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.