andesha-ha-e-dur-daraaz
tirī ḳhvāhish ne kis tashkīk kā malbūs pahnā hai
tirī bābat kisī se pūchhne meñ ḳhauf aatā hai
vo jaane kyā hai
tire baare meñ koī baat bhī kartā huuñ to Dartā huuñ
jaane guftugū kyā rañg pakḌe
tirī bābat kisī se koī raa.e bhī talab karte laraztā huuñ
vo jaane tujh ko kaisā naam de
mire ehsās ko kis shak ne jakḌā hai
yahī kyuuñ sochtā huuñ ab to pahle sā nahīñ hai
ab tire baare meñ logoñ kā vo pahlā sā tasavvur bhī nahīñ hai
teri KHwahish ne kis tashkik ka malbus pahna hai
teri babat kisi se puchhne mein KHauf aata hai
wo jaane kya hai
tere bare mein koi baat bhi karta hun to Darta hun
jaane guftugu kya rang pakDe
teri babat kisi se koi rae bhi talab karte larazta hun
wo jaane tujh ko kaisa nam de
mere ehsas ko kis shak ne jakDa hai
yahi kyun sochta hun ab to pahle sa nahin hai
ab tere bare mein logon ka wo pahla sa tasawwur bhi nahin hai
- Book : shab khuun (47) (rekhta website) (Pg. 56)
- Edition : 1970
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.