andesha kho jaane ka
andesha kho jaane kā
ummīd kuchh paane kī
huzn-o-masarrat
hamāre apne iḳhtiyār ke
andesha
dīmak hai
jo
masarrat ke daraḳhtoñ kī jaḌoñ ko chāTtī rahtī hai
tum
be-andesha kyoñ nahīñ ho jaate
ki paidā.ish se maut tak zindagī ke lamhoñ ko
tum un ke ma.āl-e-muta.ayyana se haT kar nahīñ jī sakte
andesha kho jaane ka
ummid kuchh pane ki
huzn-o-masarrat
hamare apne iKHtiyar ke
andesha
dimak hai
jo
masarrat ke daraKHton ki jaDon ko chaTti rahti hai
tum
be-andesha kyon nahin ho jate
ki paidaish se maut tak zindagi ke lamhon ko
tum un ke maal-e-mutayyana se haT kar nahin ji sakte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.