andesha
sandalīñ jism kī ḳhushbū se mahaktī huī raat
mujh se kahtī hai yahīñ aaj baserā kar le
gar tirī niiñd ujāloñ kī parastār nahīñ
apne ehsās pe zulfoñ kā añdherā kar le
maiñ ki din bhar kī chakā-chauñd se uktāyā huā
kisī ġhunche kī tarah dhuup meñ kumhlāyā huā
ik na.ī chhāñv meñ sustāne ko aa baiThā huuñ
gardish-e-dahr ke ālām se ghabrāyā huā
sochtā huuñ ki yahīñ aaj baserā kar luuñ
sub.h ke saath kaḌī dhuup khaḌī hai sar par
kyuuñ na is abr ko kuchh aur ghanerā kar luuñ
jaane ye raat akele meñ kaTe yā na kaTe
kyuuñ na kuchh der shabistāñ meñ añdherā kar luuñ
lekin is raat kī ye baat na baḌh jaa.e kahīñ
tujh se mil kar ye mire dil ko lagā hai dhaḌkā
raakh ho jā.ūñgā maiñ sub.h se pahle pahle
khul ke siine meñ jo ehsās kā sho.ala bhaḌkā
sandalin jism ki KHushbu se mahakti hui raat
mujh se kahti hai yahin aaj basera kar le
gar teri nind ujalon ki parastar nahin
apne ehsas pe zulfon ka andhera kar le
main ki din bhar ki chaka-chaund se uktaya hua
kisi ghunche ki tarah dhup mein kumhlaya hua
ek nai chhanw mein sustane ko aa baiTha hun
gardish-e-dahr ke aalam se ghabraya hua
sochta hun ki yahin aaj basera kar lun
subh ke sath kaDi dhup khaDi hai sar par
kyun na is abr ko kuchh aur ghanera kar lun
jaane ye raat akele mein kaTe ya na kaTe
kyun na kuchh der shabistan mein andhera kar lun
lekin is raat ki ye baat na baDh jae kahin
tujh se mil kar ye mere dil ko laga hai dhaDka
rakh ho jaunga main subh se pahle pahle
khul ke sine mein jo ehsas ka shoala bhaDka
- Book : kalam-e-qateel shifai (Pg. 259)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.