andesha
artist apnī ye tasvīr mukammal kar le
haañ ye hoñT aur bhī patle hoñ ye āñkheñ aur bhī mast
lekin in gāloñ kī surḳhī ko zarā kam kar de
maiñ ne shāyad inheñ murjhāyā huā paayā hai
halke aañsū se in ā.ankhoñ ko zarā nam kar de
maiñ ne afsurda nigāhoñ se yahī samjhā hai
aaj bhī maiñ ne sar-e-rāh use dekhā hai
ek shāhkār use jald banā le ai dost
varna tasvīr kā ḳhāka hī badalnā hogā
artist apni ye taswir mukammal kar le
han ye honT aur bhi patle hon ye aankhen aur bhi mast
lekin in galon ki surKHi ko zara kam kar de
main ne shayad inhen murjhaya hua paya hai
halke aansu se in aaankhon ko zara nam kar de
main ne afsurda nigahon se yahi samjha hai
aaj bhi main ne sar-e-rah use dekha hai
ek shahkar use jald bana le ai dost
warna taswir ka KHaka hi badalna hoga
- Book : azadi ke bad urdu nazm (Pg. 311)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.