andeshe
ruuh bechain hai ik dil kī aziyyat kyā hai
dil hī sho.ala hai to ye soz-e-mohabbat kyā hai
vo mujhe bhuul ga.ī is kī shikāyat kyā hai
rañj to ye hai ki ro ro ke bhulāyā hogā
vo kahāñ aur kahāñ kāhish-e-ġham, sozish-e-jāñ
us kī rañgīn nazar aur nuqūsh-e-hirmāñ
us kā ehsās-e-latīf aur shikast-e-armāñ
ta.ana-zan ek zamāna nazar aayā hogā
jhuk ga.ī hogī javāñ-sāl umañgoñ kī jabīñ
miT ga.ī hogī lalak, Duub gayā hogā yaqīñ
chhā gayā hogā dhuāñ, ghuum ga.ī hogī zamīñ
apne pahle hī gharauñde ko jo Dhāyā hogā
dil ne aise bhī kuchh afsāne sunā.e hoñge
ashk āñkhoñ ne piye aur na bahā.e hoñge
band kamre meñ jo ḳhat mere jalā.e hoñge
ek ik harf jabīñ par ubhar aayā hogā
us ne ghabrā ke nazar laakh bachā.ī hogī
miT ke ik naqsh ne sau shakl dikhā.ī hogī
mez se jab mirī tasvīr haTā.ī hogī
har taraf mujh ko taḌaptā huā paayā hogā
be-mahal chheḌ pe jazbāt ubal aa.e hoñge
ġham pashemān-e-tabassum meñ Dhal aa.e hoñge
naam par mere jab aañsū nikal aa.e hoñge
sar na kāñdhe se sahelī ke uThāyā hogā
zulf zid kar ke kisī ne jo haTā.ī hogī
rūThe jalvoñ pe ḳhizāñ aur bhī chhā.ī hogī
barq ashvoñ ne ka.ī din na girā.ī hogī
rañg chehre pe ka.ī roz na aayā hogā
ruh bechain hai ek dil ki aziyyat kya hai
dil hi shoala hai to ye soz-e-mohabbat kya hai
wo mujhe bhul gai is ki shikayat kya hai
ranj to ye hai ki ro ro ke bhulaya hoga
wo kahan aur kahan kahish-e-gham, sozish-e-jaan
us ki rangin nazar aur nuqush-e-hirman
us ka ehsas-e-latif aur shikast-e-arman
tana-zan ek zamana nazar aaya hoga
jhuk gai hogi jawan-sal umangon ki jabin
miT gai hogi lalak, Dub gaya hoga yaqin
chha gaya hoga dhuan, ghum gai hogi zamin
apne pahle hi gharaunde ko jo Dhaya hoga
dil ne aise bhi kuchh afsane sunae honge
ashk aankhon ne piye aur na bahae honge
band kamre mein jo KHat mere jalae honge
ek ek harf jabin par ubhar aaya hoga
us ne ghabra ke nazar lakh bachai hogi
miT ke ek naqsh ne sau shakl dikhai hogi
mez se jab meri taswir haTai hogi
har taraf mujh ko taDapta hua paya hoga
be-mahal chheD pe jazbaat ubal aae honge
gham pasheman-e-tabassum mein Dhal aae honge
nam par mere jab aansu nikal aae honge
sar na kandhe se saheli ke uThaya hoga
zulf zid kar ke kisi ne jo haTai hogi
ruThe jalwon pe KHizan aur bhi chhai hogi
barq ashwon ne kai din na girai hogi
rang chehre pe kai roz na aaya hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.