andha bhikari
kitne sūraj Duube
kitne mausam biite
sāñseñ joḌeñ dhāge kī sūrat meñ
āñkheñ phoḌeñ
ik jholī ko siite siite
terī galī meñ aayā
terā ghar ūñchā thā
tū ne bhī merī jholī meñ
ik khoTā sikka pheñkā thā
kitne suraj Dube
kitne mausam bite
sansen joDen dhage ki surat mein
aankhen phoDen
ek jholi ko site site
teri gali mein aaya
tera ghar uncha tha
tu ne bhi meri jholi mein
ek khoTa sikka phenka tha
- Book : auraq salnama magazines (Pg. e-274 p-262)
- Author : Wazir Agha,Arif Abdul Mateen
- Publication : Daftar Mahnama Auraq Lahore (1967)
- Edition : 1967
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.