andha kabaadi
shahr ke goshoñ meñ haiñ bikhre hue
pā-shikasta sar-burīda ḳhvāb
jin se shahr vaale be-ḳhabar!
ghūmtā huuñ shahr ke goshoñ meñ roz o shab
ki un ko jam.a kar luuñ
dil kī bhaTTī meñ tapā.ūñ
jis se chhaT jaa.e purānā mail
un ke dast-o-pā phir se ubhar aa.eñ
chamak uTTheñ lab o ruḳhsār o gardan
jaise nau-ārāsta dūlhoñ ke dil kī hasrateñ
phir se in ḳhvāboñ ko samt-e-rah mile!
''ḳhvāb le lo ḳhvāb....''
sub.h hote chauk meñ jā kar lagātā huuñ sadā
ḳhvāb aslī haiñ ki naqlī?''
yuuñ parakhte haiñ ki jaise un se baḌh kar
ḳhvāb-dāñ koī na ho!
ḳhvāb-gar maiñ bhī nahīñ
sūrat-gar-e-sānī huuñ bas
haañ magar merī ma.īshat kā sahārā ḳhvāb haiñ!
shaam ho jaatī hai
maiñ phir se lagātā huuñ sadā
muft le lo muft, ye sone ke ḳhvāb''
''muft'' sun kar aur Dar jaate haiñ log
aur chupke se sarak jaate haiñ log
''dekhnā ye ''muft'' kahtā hai
koī dhokā na ho?
aisā koī sho.abada pinhāñ na ho?
ghar pahuñch kar TuuT jaa.eñ
yā pighal jaa.eñ ye ḳhvāb?
bhak se uḌ jaa.eñ kahīñ
yā ham pe koī sehr kar Dāleñ ye ḳhvāb
jī nahīñ kis kaam ke?
aise kabāḌī ke ye ḳhvāb
aise nā-bīnā kabāḌī ke ye ḳhvāb!''
raat ho jaatī hai
ḳhvāboñ ke pulande sar pe rakh kar
muñh bisore lauTtā huuñ
raat bhar phir baḌbaḌātā huuñ
''ye le lo ḳhvāb....''
''aur le lo mujh se in ke daam bhī
ḳhvāb le lo, ḳhvāb
mere ḳhvāb
ḳhvāb mere ḳhvāb
ḳhvāb
in ke daam bhī''
shahr ke goshon mein hain bikhre hue
pa-shikasta sar-burida KHwab
jin se shahr wale be-KHabar!
ghumta hun shahr ke goshon mein roz o shab
ki un ko jama kar lun
dil ki bhaTTi mein tapaun
jis se chhaT jae purana mail
un ke dast-o-pa phir se ubhar aaen
chamak uTThen lab o ruKHsar o gardan
jaise nau-arasta dulhon ke dil ki hasraten
phir se in KHwabon ko samt-e-rah mile!
KHwab le lo KHwab
subh hote chauk mein ja kar lagata hun sada
KHwab asli hain ki naqli?
yun parakhte hain ki jaise un se baDh kar
KHwab-dan koi na ho!
KHwab-gar main bhi nahin
surat-gar-e-sani hun bas
han magar meri maishat ka sahaara KHwab hain!
sham ho jati hai
main phir se lagata hun sada
muft le lo muft, ye sone ke KHwab
muft sun kar aur Dar jate hain log
aur chupke se sarak jate hain log
dekhna ye muft kahta hai
koi dhoka na ho?
aisa koi shoabada pinhan na ho?
ghar pahunch kar TuT jaen
ya pighal jaen ye KHwab?
bhak se uD jaen kahin
ya hum pe koi sehr kar Dalen ye KHwab
ji nahin kis kaam ke?
aise kabaDi ke ye KHwab
aise na-bina kabaDi ke ye KHwab!
raat ho jati hai
KHwabon ke pulande sar pe rakh kar
munh bisore lauTta hun
raat bhar phir baDbaData hun
ye le lo KHwab
aur le lo mujh se in ke dam bhi
KHwab le lo, KHwab
mere KHwab
KHwab mere KHwab
KHwab
in ke dam bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.