andha
mere ehsāsāt kī gahrā.iyoñ meñ hai nihāñ
be-tavajjoh qabr kī mānind ik andhā kuaañ
is kī tah meñ koī qatra āb-e-shīrīñ kā nahīñ
faiz is se rūh-e-tishna ko kabhī pahuñchā nahīñ
gaahe gaahe gūñjtī hai is meñ apnī hī sadā
jis se ḳhud mujh par huā kartā hai taarī ḳhauf sā
hausloñ ko nīm-jāñ kartī hai hai jis bāzgasht
dūr-tar hotā chalā jaatā hai imkānoñ kā dasht
mere ehsasat ki gahraiyon mein hai nihan
be-tawajjoh qabr ki manind ek andha kuan
is ki tah mein koi qatra aab-e-shirin ka nahin
faiz is se ruh-e-tishna ko kabhi pahuncha nahin
gahe gahe gunjti hai is mein apni hi sada
jis se KHud mujh par hua karta hai tari KHauf sa
hauslon ko nim-jaan karti hai hai jis bazgasht
dur-tar hota chala jata hai imkanon ka dasht
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.