andhera
ye sab kuchh añdhere meñ hī hotā hai
bahut se auzār aur nā-mālūm haath
ek añdherī koTharī meñ
qaid koī bhī
koī bhī ho saktā hai
jis kā galā kaaTā jaatā hai
yā Taañg yā haath toḌ toḌ kar pheñkā jaatā hai
kisī bhī dustbin meñ
lekin ye kaise dekhā jaa.e
jaise āñkhoñ ko kisī tez dhaar aale
se kaaT diyā gayā ho
jaa.ez yā nā-jā.ez
kaun phaltā phūltā hai
aur kaun dustbin meñ pheñkā jaatā hai
sau power ke bulb kī raushnī
bhī maddham paḌ jaatī hai
ye sab kuchh andhere mein hi hota hai
bahut se auzar aur na-malum hath
ek andheri koThari mein
qaid koi bhi
koi bhi ho sakta hai
jis ka gala kaTa jata hai
ya Tang ya hath toD toD kar phenka jata hai
kisi bhi dustbin mein
lekin ye kaise dekha jae
jaise aankhon ko kisi tez dhaar aale
se kaT diya gaya ho
jaez ya na-jaez
kaun phalta phulta hai
aur kaun dustbin mein phenka jata hai
sau power ke bulb ki raushni
bhi maddham paD jati hai
- Book : Pakistani Adab (Pg. 186)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.