andhere mein sochne ki mashq
añdherā thā
añdherā lāl-qil.a jis meñ ik kaalā hayūlā thā
hazāroñ qumqumoñ kī raushnī thī dā.era-dar-dā.era phir bhī
añdherā thā
nigal Daalā thā jis ne laal qil.e ko ghanā gāḌhā añdherā thā
hazāroñ qumqumoñ kī raushnī meñ paas kī chīzeñ hī pas-manzar
añdherā jin kā pas-e-manzar
saḌak par har saḌak par raushnī kī dauḌ jaarī thī
añdhere meñ ġhubār-o-gard ke uḌte hue zarroñ ko raushan kar rahe the
baham munqate karte raushnī ke dā.ere
añdherā kaTtī-phaTtī dauḌtī uḌtī bikhartī raushnī ko pī rahā thā
añdhere kā magarmachh
añdhere ke samundar meñ
ujāle kī chamaktī machhliyoñ ko apne dāñtoñ meñ dabā.e tairtā thā
añdhere kā magarmachh lāl-qil.e par
baḌī zahrīlī sāñseñ chhoḌtā thā
nazar aatā nahīñ thā lāl-qil.a
ki is ke burj kañgūre dar-o-dīvār ik kaalā hayūlā ban ga.e the
hayūlā ban gayā thā lāl-qil.a
magar us ke vahāñ hone meñ koī shak nahīñ thā
añdherā thā
añdhere ke samundar kī guphā meñ lāl-qil.a thā
andhera tha
andhera lal-qila jis mein ek kala hayula tha
hazaron qumqumon ki raushni thi daera-dar-daera phir bhi
andhera tha
nigal Dala tha jis ne lal qile ko ghana gaDha andhera tha
hazaron qumqumon ki raushni mein pas ki chizen hi pas-manzar
andhera jin ka pas-e-manzar
saDak par har saDak par raushni ki dauD jari thi
andhere mein ghubar-o-gard ke uDte hue zarron ko raushan kar rahe the
baham munqate karte raushni ke daere
andhera kaTti-phaTti dauDti uDti bikharti raushni ko pi raha tha
andhere ka magarmachh
andhere ke samundar mein
ujale ki chamakti machhliyon ko apne danton mein dabae tairta tha
andhere ka magarmachh lal-qile par
baDi zahrili sansen chhoDta tha
nazar aata nahin tha lal-qila
ki is ke burj kangure dar-o-diwar ek kala hayula ban gae the
hayula ban gaya tha lal-qila
magar us ke wahan hone mein koi shak nahin tha
andhera tha
andhere ke samundar ki gupha mein lal-qila tha
- Book : Intekhaab amiiq hanfii (Pg. 51)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.