andheri shab se ek la-hasil
añdherī shab ke sharmīle mo.attar kaan meñ us ne kahā vo shaḳhs
duur uftāda lekin mere dil kī tarah raushan hai
jo mere paañv ke talve hathelī ke gulābī gaal meñ
kāñTā sā chubhtā hai
jo mere jism kī khetī pe bārish kā chhalāvā hai
vo jis kī aañkh kī qātil
havas ik muntazir lekin na zāhir hone vaale phuul kī mānind
bechainī meñ rakhtī hai mujhe vo
aane vaalā hai
magar vo shaḳhs is shab bhī nahīñ aayā
bhalā TuuTī kalā.ī se
vo saare ḳhvāb sab vaade mulāqātoñ ke paimāne
kahāñ sambhleñ
bhalā be-nūr āñkhoñ meñ vo sūrat
jham jhamātī tund josh-e-ḳhūn se garmi-e-lab tak tamtamātī
kis tarah ruktī
añdherī raat ne
dekhā na kuchh sunñā hī chāhā us ke gosh-e-nāzuk aur chashm-e-siyah māsūm hote haiñ
andheri shab ke sharmile moattar kan mein us ne kaha wo shaKHs
dur uftada lekin mere dil ki tarah raushan hai
jo mere panw ke talwe hatheli ke gulabi gal mein
kanTa sa chubhta hai
jo mere jism ki kheti pe barish ka chhalawa hai
wo jis ki aankh ki qatil
hawas ek muntazir lekin na zahir hone wale phul ki manind
bechaini mein rakhti hai mujhe wo
aane wala hai
magar wo shaKHs is shab bhi nahin aaya
bhala TuTi kalai se
wo sare KHwab sab wade mulaqaton ke paimane
kahan sambhlen
bhala be-nur aankhon mein wo surat
jham jhamati tund josh-e-KHun se garmi-e-lab tak tamtamati
kis tarah rukti
andheri raat ne
dekha na kuchh sunna hi chaha us ke gosh-e-nazuk aur chashm-e-siyah masum hote hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.