andheron ke pujari
añdheroñ ke pujārī ko ujāloñ se ho kyoñ raġhbat
sub.h kī narm kirnoñ se ho in ko kis liye chāhat
inheñ to diip jugnū aur sitāroñ se bhī nafrat hai
inheñ to raushnī detī kitāboñ se adāvat hai
gavāra hai inheñ bas chāñd bhī to avvalīñ shab kā
vagarna taaq aur ghanghor rātoñ meñ
talāsh-e-rab rahe jaarī
magar ye kyā zabāñ par kalma-e-haq aur āñkhoñ meñ
ajab vahshat ajab dahshat lahū taarī lahū taarī
musāvāt-e-tashaḳhḳhus kyā uḳhuvvat bhā.ī-chāra kyā
lahū ko chāTte ḳhanjar se un ko aur pyārā kyā
mohabbat un ke aage bas gunah hai jo kabīra hai
shahar pe raaj kartī vahshateñ un kā vatīra hai
magar vo bhuul baiThe haiñ usūl-e-zindagī hai ki
fazā meñ lahlahātī aag ko taaza havā.eñ sard kartī haiñ
ho kaalī raat jitnī bhī sub.h-e-sādiq kā sūraj
siyāhī kī riyāsat par nazar jab gaaḌ detā hai
to phir
saverā jagmagātā hai ḳhudā bhī muskurātā hai
añdheroñ ke pujārī jaan leñ itnā
havā na qaid hotī hai na sūraj dafn hotā hai
andheron ke pujari ko ujalon se ho kyon raghbat
subh ki narm kirnon se ho in ko kis liye chahat
inhen to dip jugnu aur sitaron se bhi nafrat hai
inhen to raushni deti kitabon se adawat hai
gawara hai inhen bas chand bhi to awwalin shab ka
wagarna taq aur ghanghor raaton mein
talash-e-rab rahe jari
magar ye kya zaban par kalma-e-haq aur aankhon mein
ajab wahshat ajab dahshat lahu tari lahu tari
musawat-e-tashaKHKHus kya uKHuwwat bhai-chaara kya
lahu ko chaTte KHanjar se un ko aur pyara kya
mohabbat un ke aage bas gunah hai jo kabira hai
shahar pe raj karti wahshaten un ka watira hai
magar wo bhul baiThe hain usul-e-zindagi hai ki
faza mein lahlahati aag ko taza hawaen sard karti hain
ho kali raat jitni bhi subh-e-sadiq ka suraj
siyahi ki riyasat par nazar jab gaD deta hai
to phir
sawera jagmagata hai KHuda bhi muskuraata hai
andheron ke pujari jaan len itna
hawa na qaid hoti hai na suraj dafn hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.