angur
beloñ meñ jo laTak rahe haiñ
ye añgūroñ ke ḳhoshe haiñ
hare hare aur piile piile
jaise hoñ motī chamkīle
mīThā mīThā in kā maza hai
rab ne in meñ shahd bharā hai
in ko pasand har ik kartā hai
bīmāroñ ke liye ġhizā hai
in ko jab bhī khāte haiñ ham
achchhī sehat paate haiñ ham
jis ne aisī ne.amat dī hai
jis ne har shai paidā kī hai
jānte ho vo kaun hai bachcho
allāh allāh allāh bolo
belon mein jo laTak rahe hain
ye anguron ke KHoshe hain
hare hare aur pile pile
jaise hon moti chamkile
miTha miTha in ka maza hai
rab ne in mein shahd bhara hai
in ko pasand har ek karta hai
bimaron ke liye ghiza hai
in ko jab bhi khate hain hum
achchhi sehat pate hain hum
jis ne aisi neamat di hai
jis ne har shai paida ki hai
jaante ho wo kaun hai bachcho
allah allah allah bolo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.