anjam
haiñ labrez aahoñ se ThanDī havā.eñ
udāsī meñ Duubī huī haiñ ghaTā.eñ
mohabbat kī duniyā pe shaam aa chukī hai
siyah-posh haiñ zindagī kī fazā.eñ
machaltī haiñ siine meñ laakh ārzueñ
taḌaptī haiñ āñkhoñ meñ laakh iltijā.eñ
taġhāful kī āġhosh meñ so rahe haiñ
tumhāre sitam aur merī vafā.eñ
magar phir bhī ai mere ma.asūm qātil
tumheñ pyaar kartī haiñ merī duā.eñ
hain labrez aahon se ThanDi hawaen
udasi mein Dubi hui hain ghaTaen
mohabbat ki duniya pe sham aa chuki hai
siyah-posh hain zindagi ki fazaen
machalti hain sine mein lakh aarzuen
taDapti hain aankhon mein lakh iltijaen
taghaful ki aaghosh mein so rahe hain
tumhaare sitam aur meri wafaen
magar phir bhi ai mere masum qatil
tumhein pyar karti hain meri duaen
- Book : Nuskha Hai Wafa (Kulliyat-e-Faiz) (Pg. 22)
- Publication : Educational Publishing House (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.