anjam
hamesha maiñ ne dekhā hai
ki sūraj shaam hote hī
samā jaatā hai apnī maut kī āġhosh meñ
lekin
ajab hai maut kī vaadī
jahāñ se lauT kar koī nahīñ aatā
agar hai zindagī sūraj
to ik din Dhal hī jā.egī
jatan karte rahoge laakh
vāpas phir na aa.egī
magar sūraj to aa.egā
hamesha main ne dekha hai
ki suraj sham hote hi
sama jata hai apni maut ki aaghosh mein
lekin
ajab hai maut ki wadi
jahan se lauT kar koi nahin aata
agar hai zindagi suraj
to ek din Dhal hi jaegi
jatan karte rahoge lakh
wapas phir na aaegi
magar suraj to aaega
- Book : Khayal Darya (Nazmein) (Pg. 59)
- Author : Adil Hayat
- Publication : Arshia Publications (2013)
- Edition : 2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.