anjam
ek sub.h kā taarā
sar pe āsmāñ oḌhe
raushnī ke ziine se roz utar ke aatā hai
aur is na.e ghar ke
adh-khule darīche meñ aa ke baiTh jaatā hai
haath ke ishāroñ se
dā.ere banātā hai
aur maiñ mohabbat kī buuñd buuñd kirnoñ meñ
roz Duub jaatā huuñ
ek subh ka tara
sar pe aasman oDhe
raushni ke zine se roz utar ke aata hai
aur is nae ghar ke
adh-khule dariche mein aa ke baiTh jata hai
hath ke ishaaron se
daere banata hai
aur main mohabbat ki bund bund kirnon mein
roz Dub jata hun
- Book : Aks Padta Hai Chand ka (Pg. 162)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.