anjaane jaziron par
qadam rakhne se pahle
jaan lo ki
be-ābād jagah āseb-zada bhī ho saktī hai
bastī basāne se pahle jin kī ḳhush-nūdī lāzim aatī hai
base rahne kā muāvza
kalābattūnī pahnā de
zarq chaḌhāve
murassā kundanī parniyāñ haiñ
ashrafī boTī vaale kam-ḳhvāb kā
sarbār bhī adā karnā hotā hai
varna
un ke uslūb-e-hayāt se inhirāf
al-aqārib al-aqrab
hāsil-e-hayāt rahegā
āfiyat mahājanī mizāj kā taqāzā puurā karne meñ hai
varna jaan rakho
havas kā aaseb ikātī ukheḌ pheñkne meñ
ta.ammul na karegā
qadam rakhne se pahle
jaan lo ki
be-abaad jagah aaseb-zada bhi ho sakti hai
basti basane se pahle jin ki KHush-nudi lazim aati hai
base rahne ka muawza
kalabattuni pahna de
zarq chaDhawe
murassa kundani parniyan hain
ashrafi boTi wale kam-KHwab ka
sarbar bhi ada karna hota hai
warna
un ke uslub-e-hayat se inhiraf
al-aqarib al-aqrab
hasil-e-hayat rahega
aafiyat mahajani mizaj ka taqaza pura karne mein hai
warna jaan rakho
hawas ka aaseb ikati ukheD phenkne mein
tammul na karega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.