anmol rishta
maiñ ek gosht kā lothḌā thī
jise kuchh ḳhabar na thī
vo gosht kā narm-o-nāzuk TukḌā
muhtāj thā
kisī kī āġhosh kā
kisī ke pyaar kā
kisī ke hassās jazboñ kā
vo saaya thā
mere liye
mere har jazbe par haavī thā
aaj maiñ kalī se phuul banī
magar vo saaya na jaane kahāñ hai
ek huuk hai
ek hasrat hai
ek ḳhalish hai
merī maañ kahāñ hai
main ek gosht ka lothDa thi
jise kuchh KHabar na thi
wo gosht ka narm-o-nazuk TukDa
muhtaj tha
kisi ki aaghosh ka
kisi ke pyar ka
kisi ke hassas jazbon ka
wo saya tha
mere liye
mere har jazbe par hawi tha
aaj main kali se phul bani
magar wo saya na jaane kahan hai
ek huk hai
ek hasrat hai
ek KHalish hai
meri man kahan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.