anokhi taswir
kahā master jī ne munne se ik din
karo kaam puurā jo ham ne kahā hai
banā laao tasvīr is naam kī tum
ki bhaiñsā charā-gāh meñ char rahā hai
na guzre the is baat ko do minute bhī
ki munne ne tasvīr tayyār kar dī
vo tasvīr kyā thī faqat sāda-kāġhaz
na thī jis pe surḳhī na sabzī na zardī
jo pūchhā gayā bha.ī kahāñ hai charā-gāh
to farmāyā bhaiñsā use char gayā hai
jo pūchhā gayā phir kahāñ hai vo bhaiñsā
kahā duur jā kar kahīñ mar gayā hai
kaha master ji ne munne se ek din
karo kaam pura jo hum ne kaha hai
bana lao taswir is nam ki tum
ki bhainsa chara-gah mein char raha hai
na guzre the is baat ko do minute bhi
ki munne ne taswir tayyar kar di
wo taswir kya thi faqat sada-kaghaz
na thi jis pe surKHi na sabzi na zardi
jo puchha gaya bhai kahan hai chara-gah
to farmaya bhainsa use char gaya hai
jo puchha gaya phir kahan hai wo bhainsa
kaha dur ja kar kahin mar gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.