anwar-e-ishq
bahār aa.ī ki koī jhūmtā mastāna aatā hai
ghaTā aatī hai yā uḌtā huā mai-ḳhāna aatā hai
girebāñ chaak dāman TukḌe TukḌe tauq gardan meñ
sar-e-mahshar tirā kis shaan se dīvāna aatā hai
ajab hairat-fazā nazzāra hai darbār-e-qātil kā
liye sar haath meñ har ik pai-e-nazrāna aatā hai
kabhī ai 'nūr' but-ḳhāne ko ka.abe meñ nihāñ dekhā
kabhī ka.abe meñ poshīda nazar but-ḳhāna aatā hai
bahaar aai ki koi jhumta mastana aata hai
ghaTa aati hai ya uDta hua mai-KHana aata hai
gireban chaak daman TukDe TukDe tauq gardan mein
sar-e-mahshar tera kis shan se diwana aata hai
ajab hairat-faza nazzara hai darbar-e-qatil ka
liye sar hath mein har ek pai-e-nazrana aata hai
kabhi ai 'nur' but-KHane ko kabe mein nihan dekha
kabhi kabe mein poshida nazar but-KHana aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.