anyae
rādhā-jī ke patī abhai
kirshn kī patnī rukmanī
rādhā kirshn kī paremikā
kirshn-jī un ke paremī
jag meñ chāroñ aur kareñ sab
un ke naam kā jaap
ham jo man ko haar deñ
hameñ lage hai paap
bhuul ke sab kuchh sohnī
kyā shauhar kyā sansār
mahīñvāl kī priit meñ kartī
biphrā dariyā paar
sohnī Thahrī devikā
use kareñ parnām
ham jo man ko haar deñ
ho jaa.eñ bad-nām
radha-ji ke pati abhai
kirshn ki patni rukmani
radha kirshn ki paremika
kirshn-ji un ke paremi
jag mein chaaron aur karen sab
un ke nam ka jap
hum jo man ko haar den
hamein lage hai pap
bhul ke sab kuchh sohni
kya shauhar kya sansar
mahinwal ki prit mein karti
biphra dariya par
sohni Thahri dewika
use karen parnam
hum jo man ko haar den
ho jaen bad-nam
- Book : ishq ki taqweem men (Pg. 33)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.