apna ghar
ghar kī saarī chīzoñ ko
be-ruḳhī se yuuñ dekhā
jaise ik ta.alluq ho
phir na jaane kyā sochā
ehtiyāt se Tāñge
pā.eñche irādoñ ke
ishtiyāq se ulTī
āstīn himmat kī
ek ek goshe se
oḌhnī ke pallū ne
gard-e-ġhairiyat jhāḌī
thaam kar har ik shai ko
apnī aañkh se dekhā
apnī soch se chhū kar
apne haath se rakkhā
saarā ghar chamak uThā
saarā ghar lagā apnā
ghar ki sari chizon ko
be-ruKHi se yun dekha
jaise ek talluq ho
phir na jaane kya socha
ehtiyat se Tange
paenche iradon ke
ishtiyaq se ulTi
aastin himmat ki
ek ek goshe se
oDhni ke pallu ne
gard-e-ghairiyat jhaDi
tham kar har ek shai ko
apni aankh se dekha
apni soch se chhu kar
apne hath se rakkha
sara ghar chamak uTha
sara ghar laga apna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.