apna gharana
chhoTā sā gharānā apnā
dekhā hai
āñkhoñ ne sadā jis kā sapnā
chhoTā sā vo apnā gharānā
hai shor kahīñ bachchoñ kā
bahnoñ ko satānā din bhar
bhaa.ī kā
aur shaam ko thak kar so jaanā
chhoTā sā vo apnā gharānā
sab kheleñ āñkh-micholī
jaise ik umr ke ham-jolī
vo khel meñ shāmil honā
abbā kā
ammī kā magar vo sharmānā
chhoTā sā vo apnā gharānā
phir saath kabhī jo baiThe
pahroñ bāteñ karte guzre
vo haath meñ haath pakaḌnā
ham sab kā
aur der talak mil kar gaanā
chhoTā sā gharānā apnā
dekhā hai
āñkhoñ ne sadā jis kā sapnā
chhoTa sa gharana apna
dekha hai
aankhon ne sada jis ka sapna
chhoTa sa wo apna gharana
hai shor kahin bachchon ka
bahnon ko satana din bhar
bhai ka
aur sham ko thak kar so jaana
chhoTa sa wo apna gharana
sab khelen aankh-micholi
jaise ek umr ke ham-joli
wo khel mein shamil hona
abba ka
ammi ka magar wo sharmana
chhoTa sa wo apna gharana
phir sath kabhi jo baiThe
pahron baaten karte guzre
wo hath mein hath pakaDna
hum sab ka
aur der talak mil kar gana
chhoTa sa gharana apna
dekha hai
aankhon ne sada jis ka sapna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.