apna har dukh KHud se kahna
ḳhud hī apnī sakhī sahelī
din bhar kī sab chhoTī se bhī chhoTī bāteñ
duur kisī gunjān saḌak pe chalte chalte
jab paañv ik patthar se Takrāyā thā to
kaise maiñ chhūī-mūī sī biich saḌak us shaam girī thī
merī chādar tez havā se duur talak uḌtī hī ga.ī thī
nausar-bāz havā se kaise dhokā khāyā
achchhī burī nazreñ duniyā kī
apnī haar aur apnī jiit
apnā sab kuchh ḳhud se kahnā
ḳhud hī baiTh ke rote rahnā
ḳhud ko aap dilāsā denā
apnī aañkh ke saare aañsū ḳhud hī piinā
ḳhud hī marnā
ḳhud hī jiinā
apne dukh-sukh ḳhud se kahnā
ḳhud hī hañsnā
ḳhud hī ronā
rote rote be-ḳhud honā
KHud hi apni sakhi saheli
din bhar ki sab chhoTi se bhi chhoTi baaten
dur kisi gunjaan saDak pe chalte chalte
jab panw ek patthar se Takraya tha to
kaise main chhui-mui si bich saDak us sham giri thi
meri chadar tez hawa se dur talak uDti hi gai thi
nausar-baz hawa se kaise dhoka khaya
achchhi buri nazren duniya ki
apni haar aur apni jit
apna sab kuchh KHud se kahna
KHud hi baiTh ke rote rahna
KHud ko aap dilasa dena
apni aankh ke sare aansu KHud hi pina
KHud hi marna
KHud hi jina
apne dukh-sukh KHud se kahna
KHud hi hansna
KHud hi rona
rote rote be-KHud hona
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.