chamakte adhūre ā.īne se
jo mere jism ke sab
lahjoñ se vāqif hai
merā chehra ab us se
bahut jhuuT kahne lagā hai
jis aks ko
merā vajūd chhū saktā hai
aisā puurā ā.īna
maiñ ne
miTTī ke samundar meñ
dekh rakhā hai
jis miTTī se
musavvir ne
mujhe jhiñjhoḌā thā
usī miTTī meñ
ik roz
ubharne ke liye
phir bikharnā hai
chamakte adhure aaine se
jo mere jism ke sab
lahjon se waqif hai
mera chehra ab us se
bahut jhuT kahne laga hai
jis aks ko
mera wajud chhu sakta hai
aisa pura aaina
main ne
miTTi ke samundar mein
dekh rakha hai
jis miTTi se
musawwir ne
mujhe jhinjhoDa tha
usi miTTi mein
ek roz
ubharne ke liye
phir bikharna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.