āj-kal aksar aisā paatā huuñ
apne ash.ār bhuul jaatā huuñ
kyā bahr thī vo kyā tarannum thā
ashk thā koī yā tabassum thā
kaifiyat kyā thī aur kyā ehsās
jin se hotā thā ḳhudī kā ehsās
jin ko maiñ jāvedāñ samajhtā thā
apne donoñ-jahāñ samajhtā thā
ab vahī sher bhuul jaatā hoñ
āj-kal aksar aisā paatā huuñ
aisā kyuuñ ho gayā agar sochūñ
koī vājib vaj.h agar khojūñ
aisā mahsūs hone lagtā hai
sher ḳhud ko vo yaad rahtā hai
jo kisī aur ko bhī yaad rahe
hoñTh pe na ho magar dil meñ base
aisā mumkin to hai magar bas tab
kisī lamhe maiñ ḳhud ko bhuul ke jab
ḳhud ko dariyā-dilī se bāñTā ho
merā maiñ aur kisī kā hissa ho
yuuñ kiyā hī nahīñ to kyā fariyād
apnī hī qaid meñ rahā ābād
fikr kī aslī baat ye hai magar
in dinoñ yuuñ bhī huā hai aksar
sher auroñ ke bhuul jaatā huuñ
kyā maiñ pahle kī tarah zinda huuñ
aaj-kal aksar aisa pata hun
apne ashaar bhul jata hun
kya bahr thi wo kya tarannum tha
ashk tha koi ya tabassum tha
kaifiyat kya thi aur kya ehsas
jin se hota tha KHudi ka ehsas
jin ko main jawedan samajhta tha
apne donon-jahan samajhta tha
ab wahi sher bhul jata hon
aaj-kal aksar aisa pata hun
aisa kyun ho gaya agar sochun
koi wajib wajh agar khojun
aisa mahsus hone lagta hai
sher KHud ko wo yaad rahta hai
jo kisi aur ko bhi yaad rahe
honTh pe na ho magar dil mein base
aisa mumkin to hai magar bas tab
kisi lamhe main KHud ko bhul ke jab
KHud ko dariya-dili se banTa ho
mera main aur kisi ka hissa ho
yun kiya hi nahin to kya fariyaad
apni hi qaid mein raha aabaad
fikr ki asli baat ye hai magar
in dinon yun bhi hua hai aksar
sher auron ke bhul jata hun
kya main pahle ki tarah zinda hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.