apne bachche ke nam
Interesting Fact
For his son, in a prayer-like mood
ai mire sinn-o-sāl ke hāsil
mere āñgan ke nau-damīda gulāb
mere ma.asūm ḳhvāb ke ham-shakl
merī maryam ke sāya-e-shādāb
sub.h-e-taḳhlīq kā salām tujhe
zindagī tujh ko kahtī hai ādāb
ai muqaddas zamīñ ke sho.ala-e-nau
tū farozāñ ho un fazāoñ meñ
mere siine kī jo amānat haiñ
jo mirī nā-rasā duāoñ meñ
is tarah muskurātī hai jaise
naġhmagī duur kī sadāoñ meñ
mujh ko ajdād se virāsat meñ
vo ḳharābe mile ki jin meñ rahā
umr bhar pā.emāl o ḳhāk-basar
merā hissa rahā ġham-e-fardā
mujh ko mere lahū meñ nahlā kar
jis ne qaid-e-hayāt meñ rakkhā
ai mirī rūh-e-fan ke aks-e-jamīl
tujh ko merī sī zindagī na mile
jo na maiñ ho sakā vo to ho jaa.e
kaash tū merā jā-nashīñ na bane
maiñ tasavvur meñ bhī jahāñ na gayā
un dayāroñ meñ terā naam chale
ai mere sinn-o-sal ke hasil
mere aangan ke nau-damida gulab
mere masum KHwab ke ham-shakl
meri maryam ke saya-e-shadab
subh-e-taKHliq ka salam tujhe
zindagi tujh ko kahti hai aadab
ai muqaddas zamin ke shoala-e-nau
tu farozan ho un fazaon mein
mere sine ki jo amanat hain
jo meri na-rasa duaon mein
is tarah muskuraati hai jaise
naghmagi dur ki sadaon mein
mujh ko ajdad se wirasat mein
wo KHarabe mile ki jin mein raha
umr bhar paemal o KHak-basar
mera hissa raha gham-e-farda
mujh ko mere lahu mein nahla kar
jis ne qaid-e-hayat mein rakkha
ai meri ruh-e-fan ke aks-e-jamil
tujh ko meri si zindagi na mile
jo na main ho saka wo to ho jae
kash tu mera ja-nashin na bane
main tasawwur mein bhi jahan na gaya
un dayaron mein tera nam chale
- Book : Teri Sadaa Ka Intezaar (Pg. 148)
- Author : Khaleel-Ur-Rehman Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.