apne dost ke liye
ye zard mausam ke ḳhushk patte
havā jinheñ le ga.ī uḌā kar
agar kabhī un ko dekh paao
to soch lenā
ki un meñ har barg kī numū meñ
ziyāñ gayā araq shāḳh-e-gul kā
kabhī ye sarsabz koñpleñ the
kabhī ye shādāb bhī rahe haiñ
khile hue hoñT kī tarah narm aur shagufta
bahut dinoñ tak
ye sabz patte
havā ke reloñ meñ bebasī se taḌap chuke haiñ
magar ye ab ḳhushk ho rahe haiñ
magar ye ab ḳhushk ho chuke haiñ
agar kabhī is taraf se guzro
to dekh lenā
barahna shāḳheñ havā ke dil meñ gaḌhī huī haiñ
ye ab tumhāre liye nahīñ haiñ
nahīñ haiñ
ye zard mausam ke KHushk patte
hawa jinhen le gai uDa kar
agar kabhi un ko dekh pao
to soch lena
ki un mein har barg ki numu mein
ziyan gaya araq shaKH-e-gul ka
kabhi ye sarsabz konplen the
kabhi ye shadab bhi rahe hain
khile hue honT ki tarah narm aur shagufta
bahut dinon tak
ye sabz patte
hawa ke relon mein bebasi se taDap chuke hain
magar ye ab KHushk ho rahe hain
magar ye ab KHushk ho chuke hain
agar kabhi is taraf se guzro
to dekh lena
barahna shaKHen hawa ke dil mein gaDhi hui hain
ye ab tumhaare liye nahin hain
nahin hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.