apne ghar mein
muñh dho kar jab us ne muḌ kar merī jānib dekhā
mujh ko ye mahsūs huā jaise koī bijlī chamkī hai
yā jañgal ke andhere meñ jaadū kī añgūThī damkī hai
sābun kī bhīnī ḳhushbū se mahak gayā dālān
uf un bhīgī bhīgī ā.ankhoñ meñ dil ke armān
motiyoñ jaise dāñtoñ meñ vo gahrī surḳh zabān
dekh ke gaal pe nāḳhun kā maddham sā laal nishān
koī bhī hotā merī jagah par ho jaatā hairān
munh dho kar jab us ne muD kar meri jaanib dekha
mujh ko ye mahsus hua jaise koi bijli chamki hai
ya jangal ke andhere mein jadu ki anguThi damki hai
sabun ki bhini KHushbu se mahak gaya dalan
uf un bhigi bhigi aaankhon mein dil ke arman
motiyon jaise danton mein wo gahri surKH zaban
dekh ke gal pe naKHun ka maddham sa lal nishan
koi bhi hota meri jagah par ho jata hairan
- Book : kulliyat-e-muniir niyaazii (Pg. 128)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.