apne ham-watanon ke liye
ye jo baaġh khilā.e ham ne
in bāġhoñ kī hariyālī meñ
jo phuul khile
vo sab kā hai
ye jo shahr basā.e haiñ ham ne
in shahroñ kī ḳhushbū meñ basā
jo saañs mile
vo sab kā hai
in bāġhoñ kī hariyālī meñ
in shahroñ ke bāzāroñ meñ
ik ḳhvāboñ jaisī sub.h mile
ik sub.h mile jo sab kī ho
ik ḳhushiyoñ jaisī shaam mile
ik shaam mile jo sab kī ho
ye jo bagh khilae hum ne
in baghon ki hariyali mein
jo phul khile
wo sab ka hai
ye jo shahr basae hain hum ne
in shahron ki KHushbu mein basa
jo sans mile
wo sab ka hai
in baghon ki hariyali mein
in shahron ke bazaron mein
ek KHwabon jaisi subh mile
ek subh mile jo sab ki ho
ek KHushiyon jaisi sham mile
ek sham mile jo sab ki ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.