apne jaise aashiqon ke nam
maiñ taḌaptā huuñ
maiñ bahut taḌaptā huuñ
ki vahāñ lauT jā.ūñ jahāñ se merī umr shurūa huī thī
jahāñ mere din raat merī miTTī kī mahak se mahakte the
zamīn bhar kī dhuup meñ se mere hisse kī dhuup
mere rome rome ko señktī thī
sitāroñ bhare āsmān meñ se mere naam kā sitāra
badan kī agnī ban ke mere hisse kī dulhan ko
nadī ke paanī se banī huī sej pe utārtā thā
aur an-dekhī tah meñ tairtī machhliyoñ kī saañs ko sañgīt kar detā thā
raat meñ chhupe hue din ko
aur din meñ chhupī huī raat ko
ek dūsre ke paas lā ke ḳhud kahīñ chhup jaatā thā
phir jhaag se jhaag nikaltā thā
aur jhaag se an-ginat mūrtiyāñ bantī thiiñ
tab unheñ pūjne kī tijārat ījād nahīñ huī thī
tab aag harī ghaas ko nahīñ jalātī thī
sivā.e is ke ki paañv par reñgtī huī chyūñTī haath kī pakaḌ meñ aa jaatī thī
kā.enāt bhar kī bhuuk aur pyaas kī
sīñchā.ī karte hue kisān aur khudā.ī karte hue mazdūr
abhī khet aur fasl aur kachche pakke ghar aur dīvāroñ aur jīvan maran
aur shamshān bhuum aur qabroñ se pahchāne to jaate the
abhī bāzāroñ meñ ghūmte phirte nañge pāgaloñ
aur un ke hisse kī gāliyoñ aur pattharoñ kī pahchān se zindagī kī pahchān to hotī thī
abhī raat ke safar meñ kisī an-dekhe jahān se
merī duniyā ke jañgaloñ meñ utarte jugnuoñ ke jhunD chahak chahak ke
sudhārī huī rūhoñ kā atā patā batāte the
afsos ab maiñ vahāñ lauTnā chāhūñ bhī
to ḳhud par itnā guzar chukā huuñ ki lauT nahīñ saktā
main taDapta hun
main bahut taDapta hun
ki wahan lauT jaun jahan se meri umr shurua hui thi
jahan mere din raat meri miTTi ki mahak se mahakte the
zamin bhar ki dhup mein se mere hisse ki dhup
mere rome rome ko senkti thi
sitaron bhare aasman mein se mere nam ka sitara
badan ki agni ban ke mere hisse ki dulhan ko
nadi ke pani se bani hui sej pe utarta tha
aur an-dekhi tah mein tairti machhliyon ki sans ko sangit kar deta tha
raat mein chhupe hue din ko
aur din mein chhupi hui raat ko
ek dusre ke pas la ke KHud kahin chhup jata tha
phir jhag se jhag nikalta tha
aur jhag se an-ginat murtiyan banti thin
tab unhen pujne ki tijarat ijad nahin hui thi
tab aag hari ghas ko nahin jalati thi
siwae is ke ki panw par rengti hui chyunTi hath ki pakaD mein aa jati thi
kaenat bhar ki bhuk aur pyas ki
sinchai karte hue kisan aur khudai karte hue mazdur
abhi khet aur fasl aur kachche pakke ghar aur diwaron aur jiwan maran
aur shamshan bhum aur qabron se pahchane to jate the
abhi bazaron mein ghumte phirte nange pagalon
aur un ke hisse ki galiyon aur pattharon ki pahchan se zindagi ki pahchan to hoti thi
abhi raat ke safar mein kisi an-dekhe jahan se
meri duniya ke jangalon mein utarte jugnuon ke jhunD chahak chahak ke
sudhaari hui ruhon ka ata pata batate the
afsos ab main wahan lauTna chahun bhi
to KHud par itna guzar chuka hun ki lauT nahin sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.